Dil me rahkar dhokha diya jana nahin
wo sakhs bewfa tha magar pahchana nahin
us waqt hi sochna chahiye tha
ek ajnawi se dil lagana nahin
duniyan ko dos kyun dun mujhe khwahisho ne luta
mujhe mahboob chahiye tha jamana nahin
mai mufleesh tha, use mahlon ki chah thi
hatheli pe dil diya rakh ke magar mana nahin
dour-e-isq me mera nusq nahi tha magar
faqat use hi tha sath nibhana nahin
thak sa gaya hu apne wafa ka suboot dekar
na baba na, ab mujhe jatana nahin
wo bewfa, mai wafa, zang wajood pe hogi
ab mai ja nahin sakta, use aana nahin
sanjay kumar maurya
http://www.poemhunter.com/poem/dil-me-rahkar-dhokha-diya-jana-nahi/