Surprise Me!

Jyoti Joseph - Tu..har jagah mein samaya hai..! !

2014-06-15 12 Dailymotion

har jagah mein tu samaaya hai
har disha mein tu numaaya hai
subah mein shaam mein tera zikr hai, tera saaya hai
mera haath jo tu thaam le, phir jahaan ka karna hai kya
tu hi tu har jagah, tu hi tu jine ki wajah

meri subah mein meri shaam mein, tera zikr hai, tera saaya hai
mera haath jo tu thaam le, phir jahaan ka karana hai kya
tu hi tu har jagah, tu hi tu jine ki wajah

tu roshani koi chandni, tu hi ped hai tu hi chhaanv bhi
tu hi raasta tu hi hai safar, jaha pahunchna hai woh gaon bhi
mera haath jo tu thaam le, phir jahaan ka karana hai kya
tu hi tu har jagah, tu hi tu jine ki wajah

yaar tera saath jis pal pa liya jisne
usko to phulon ki tarah raahon ka karvan mile
subah mein shaam mein tera zikr hai, tera saaya hai
mera haath jo tu thaam le, phir jahaan ka karana hai kya
har jagah mein tu samaaya hai, har disha mein tu numaaya hai
main tere nashe mein hoon chur sa, teri justajoo mein hai zindagi
mera haath jo tu thaam le, phir jahaan ka karana hai kya
tu hi tu har jagah, tu hi tu jine ki wajah

Jyoti Joseph

http://www.poemhunter.com/poem/tu-har-jagah-mein-samaya-hai/