Madhya Pradesh ke Jhabua se ek hairan karne wali tasveer samne aayi hai! Kya kursi milte hi log apno se rishta bhool jate hain?
Jhabua me ek kisan apni samasya lekar SDM sahiba ke paas gaya aur unhe samman ke sath 'Didi' kehkar apni baat rakhni chahi. Lekin bajaye samasya sunne ke, SDM sahiba kisan ki 'bhasha' par hi bhadak gayin. Unka kehna tha ki ye koi tarika nahi hai baat karne ka.